Tabs/pages

Wednesday, 15 July 2015

Karele(bitter gourd) ki Sabji

Karele(bitter gourd) ki Sabji


Samagri :

  1. Karele 250gm
  2. Pyaj 3-4
  3. Tomato 2 medium size
  4. Mirchi powder 1 tbs
  5. Haldi powder 1/4 tbs
  6. Namak swadanusar

Vidhi :

  1. Karele ko dhokar barik kat le
  2. Kate karele me 2tbs namak dalkar 30 min ke liye chod de
  3. 30 min bad karele me se namak ka pani nichodkar nikal le
  4. Kadhai me oil garam karake usame karale dale
  5. Karele ka colour change hone tak (halaka brown hone tak ) chalate rahiye
  6. Karele halke brown hone ke bad usame barik kate pyaj dale
  7. Pyaj soft hone ke bad usame sare masale(haldi,mirch powder,namak) dale
  8. Usake bad barik kate tomato dalkar pakane de
  9. Pasand ho to thoda emali ka pani dal sakate hai
  10. Last me hara dhaniya dale 

Karele ki Sabji tayar.... es tarike se banai gayi sabji kadavi nahi lagegi.....
Karele ki sabji Roti, chaval ya paratho ke sath parose .....

Aur maje ligiye  MARATHI SWAD  blog ki Recipies ka ...

No comments:

Post a Comment