MAVA BATI
MAVA BATI
|
MAVA BATI |
SAMGRI
- Mava - 250gm
- Maida - 1/2 bowl
- Panir - 100gm
- Chini - 3 bowl
- Sukha Meva (kaju,chironji,badam....)
- Elayachi powder - 1tbs
- Desi ghee talnekeliye
VIDHI
- Ek bowl me mava,panir our maida achese mix kare
- Soft hone tak mixture ko malate rahe
- Dusari our kadhai me chini le ,chini 2 katori pani milayiye our chachani banane ke liye rakh de.bich bich me chachani ko hilate rahiye.Achese ubal ane ke bad check kare . Chachani ko do unglise chipakake dekhe agar dono ungali me chipakati hai to apani chachani tayar hai.
- Chachani ko gas se utarkar 1/2 tbs elayachi powder dalkar baju me rakh de.
- Sukhe mevo ko chote tukade me katkar usame 1/2tbs elayachi powder milayiye
- Kadhai me ghee garam karane ke liye rakh de.
- Aate ka chota gola banayiye ,bichame ungli se dabakar usame sukhe meve tayar mishran dal kare gole ko pack kare.usaka gulab jamun jaisa gola banakar usako thodasa dabayiye.
- Es tarah our bati banayiye
- Garam ghee me dhimi aach par dark brown hone tak tal le
- Tale huyi batiya chachani me dale.
- 1 hour bad Mava Bhati khane ke liye tayar ho jayege
Garama garam Mava Bati ka maja lijiye our MARATHI SWAD blog ko subscribe kijiye....
No comments:
Post a Comment